Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    aaj ā.īna-rū mujh paas aa

    bahar-sūrat mujhe sūrat dikhā

    aa ai ātish-e-barq-e-ġham-e-yār

    mirā ye ḳhirman-e-hastī jalā

    mirī aatī hai bas niiñd aa.e to aap

    ye apnī chashm-poshī dekhtā

    mirī jaarī haiñ aañsū aah qāsid

    shitābī kah ye us ko mājrā

    likhā maiñ ne ye us yūsuf ko kal ḳhat

    aziiā dilbarā nāzuk-mizājā

    rakhī hai chaah terī aah betāb

    qalaq is mere dil miTā

    ḳhudā hai mirī kashtī hāfiz

    ḳhudā ke vāste nāḳhudā

    na sunvā ġhair bāteñ sun ai yaar

    tire jo meñ aave sunā

    vahī hai jā-ba-jā bejā nahīñ ye

    bajā hai us har ek jā-jā

    agar jaatā hai ai mere masīhā

    ilaaj is dard-e-dil batā

    mirī siina pe rakh dast-e-nigārīñ

    mirī ye aag dil bujhā

    agar baiThā hai nāseh muñh ko baiTh

    vagarna yaañ se uTh ai be-hayā

    tirī naubat 'ehsāñ' koī din yaañ

    Dañkā ishq har bajā

    tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja

    bahar-surat mujhe surat dikha ja

    tu aa ai aatish-e-barq-e-gham-e-yar

    mera ye KHirman-e-hasti jala ja

    meri aati hai bas nind aae to aap

    ye apni chashm-poshi dekhta ja

    meri jari hain aansu aah qasid

    shitabi kah ye us ko majra ja

    likha main ne ye us yusuf ko kal KHat

    azia dilbara nazuk-mizaja

    rakhi hai chah teri aah betab

    qalaq is mere dil ka tu miTa ja

    KHuda hi hai meri kashti ka hafiz

    KHuda ke waste tu naKHuda ja

    na sunwa ghair ki baaten sun ai yar

    tere jo ji mein aawe tu suna ja

    wahi hai ja-ba-ja beja nahin ye

    baja hai us ki hi har ek ja-ja

    agar jata hai ai mere masiha

    ilaj is dard-e-dil ka tu bata ja

    meri sina pe rakh dast-e-nigarin

    meri ye aag dil ki tu bujha ja

    agar baiTha hai naseh munh ko si baiTh

    wagarna yan se uTh ai be-haya ja

    teri naubat hi 'ehsan' koi din yan

    tu Danka ishq ka har ja baja ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now