tū  aap  ko  poshīda  o  iḳhfā  na  samajhnā  
maiñ  dekh  rahā  huuñ  mujhe  andhā  na  samajhnā  
kam  sher-e-zhiyāñ  se  mirā  rutba  na  samajhnā  
kuttā  huuñ  alī  kā  sag-e-duniyā  na  samajhnā  
go  zaar  huā  huuñ  magar  imdād-e-junūñ  se  
hai  dev  kī  tāqat  mujhe  murdā  na  samajhnā  
ham-rāh  mire  rahtī  hai  har  dam  madad-e-ġhaib  
lākhoñ  pe  huuñ  bhārī  mujhe  tanhā  na  samajhnā  
bazm-e-ġham-e-shappīr  meñ  jo  chashm  se  nikle  
har  ashk  ko  tasbīh  kā  ik  daana  samajhnā  
jo  dil  ki  mubarrā  ho  mohabbat  se  jahāñ  kī  
us  dil  ko  dilā  yaar  kā  kāshāna  samajhnā  
naama  jo  likhā  hai  use  rakh  chhoḌiyo  sāhib  
vo  ḳhatt-e-ġhulāmī  hai  navishtā  na  samajhnā  
kāfir  huuñ  na  phūñkūñ  jo  tire  ka.aba  meñ  ai  shaiḳh  
nāqūs  baġhal  meñ  hai  musallā  na  samajhnā  
dīdār  dikhā  dījiye  ġhash  aa.eñ  to  aa.eñ  
āshiq  huuñ  maiñ  āshiq  mujhe  muusā  na  samajhnā  
rakhnā  na  tavaqqo.a  dil-e-nādāñ  tū  kisī  se  
us  vaqt  meñ  apnoñ  ko  bhī  begāna  samajhnā  
hāsil  nahīñ  samjhāne  se  nāseh  tū  samajh  to  
kyā  samjhe  bhalā  ye  dil-e-dīvāna  samajhnā  
bahkā  huā  āshiq  nazar  aa  jaa.e  jo  koī  
is  chashm-e-fusūñ-sāz  kā  dīvāna  samajhnā  
chāhūñ  to  nikal  jā.ūñ  abhī  pech  se  tere  
uljhā  mujhe  o  zulf-e-chalīpā  na  samajhnā  
sar  kaT  ke  jo  qadmoñ  pe  gire  rāh-e-vafā  meñ  
ye  bhī  madad-e-himmat-e-mardāna  samajhnā  
sehhat  tirī  mumkin  nahīñ  sun  rakh  dil-e-bīmār  
ye  gorkan  aayā  hai  masīhā  na  samajhnā  
har  haal  meñ  ḳhursand  huuñ  tum  ḳhush  ho  ki  nā-ḳhush  
banda  huuñ  mujhe  āshiq-e-shaidā  na  samajhnā  
pilvā  de  mai-e-hosh-rubā  dekh  mirā  zarf  
saaqī  jo  bahak  jā.ūñ  to  dīvāna  samajhnā  
aa  jaa.e  koī  Dher  agar  paaoñ  ke  nīche  
ai  sham-ruḳho  marqad-e-parvāna  samajhnā  
dekho  kisī  chehre  pe  jo  gesū  koī  bal-dār  
af.ī  hai  use  zulf-e-chalīpā  na  samajhnā  
juuyā  hai  agar  rutba-e-ālī  kā  jahāñ  meñ  
adnā  se  bhī  ḳhud  ko  kabhī  aalā  na  samajhnā  
ai  'rind'  na  Tiknā  kabhī  arbāb-e-vara.a  paas  
mil  baiThnā  us  se  jise  rindāna  samajhnā  
tu  aap  ko  poshida  o  iKHfa  na  samajhna  
main  dekh  raha  hun  mujhe  andha  na  samajhna  
kam  sher-e-zhiyan  se  mera  rutba  na  samajhna  
kutta  hun  ali  ka  sag-e-duniya  na  samajhna  
go  zar  hua  hun  magar  imdad-e-junun  se  
hai  dew  ki  taqat  mujhe  murda  na  samajhna  
ham-rah  mere  rahti  hai  har  dam  madad-e-ghaib  
lakhon  pe  hun  bhaari  mujhe  tanha  na  samajhna  
bazm-e-gham-e-shappir  mein  jo  chashm  se  nikle  
har  ashk  ko  tasbih  ka  ek  dana  samajhna  
jo  dil  ki  mubarra  ho  mohabbat  se  jahan  ki  
us  dil  ko  dila  yar  ka  kashana  samajhna  
nama  jo  likha  hai  use  rakh  chhoDiyo  sahib  
wo  KHatt-e-ghulami  hai  nawishta  na  samajhna  
kafir  hun  na  phunkun  jo  tere  kaba  mein  ai  shaiKH  
naqus  baghal  mein  hai  musalla  na  samajhna  
didar  dikha  dijiye  ghash  aaen  to  aaen  
aashiq  hun  main  aashiq  mujhe  musa  na  samajhna  
rakhna  na  tawaqqoa  dil-e-nadan  tu  kisi  se  
us  waqt  mein  apnon  ko  bhi  begana  samajhna  
hasil  nahin  samjhane  se  naseh  tu  samajh  to  
kya  samjhe  bhala  ye  dil-e-diwana  samajhna  
bahka  hua  aashiq  nazar  aa  jae  jo  koi  
is  chashm-e-fusun-saz  ka  diwana  samajhna  
chahun  to  nikal  jaun  abhi  pech  se  tere  
uljha  mujhe  o  zulf-e-chalipa  na  samajhna  
sar  kaT  ke  jo  qadmon  pe  gire  rah-e-wafa  mein  
ye  bhi  madad-e-himmat-e-mardana  samajhna  
sehhat  teri  mumkin  nahin  sun  rakh  dil-e-bimar  
ye  gorkan  aaya  hai  masiha  na  samajhna  
har  haal  mein  KHursand  hun  tum  KHush  ho  ki  na-KHush  
banda  hun  mujhe  aashiq-e-shaida  na  samajhna  
pilwa  de  mai-e-hosh-ruba  dekh  mera  zarf  
saqi  jo  bahak  jaun  to  diwana  samajhna  
aa  jae  koi  Dher  agar  paon  ke  niche  
ai  sham-ruKHo  marqad-e-parwana  samajhna  
dekho  kisi  chehre  pe  jo  gesu  koi  bal-dar  
afi  hai  use  zulf-e-chalipa  na  samajhna  
juya  hai  agar  rutba-e-ali  ka  jahan  mein  
adna  se  bhi  KHud  ko  kabhi  aala  na  samajhna  
ai  'rind'  na  Tikna  kabhi  arbab-e-wara  pas  
mil  baiThna  us  se  jise  rindana  samajhna  
 
    
 
    
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.