Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar

Allama Iqbal

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Written in London) (Bal-e-Jibril)

    abhī rahguzar meñ hai qaid-e-maqām se guzar

    misr o hijāz se guzar pāras o shaam se guzar

    jis amal hai be-ġharaz us jazā kuchh aur hai

    huur o ḳhiyām se guzar bāda-o-jām se guzar

    garche hai dil-kushā bahut husn-e-farañg bahār

    tā.erak-e-buland-bām dāna-o-dām se guzar

    koh-shigāf terī zarb tujh se kushād-e-sharq-o-ġharb

    teġh-e-hilāl tarah aish-e-niyām se guzar

    terā imaam be-huzūr terī namāz be-surūr

    aisī namāz se guzar aise imaam se guzar

    tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar

    misr o hijaz se guzar paras o sham se guzar

    jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai

    hur o KHiyam se guzar baada-o-jam se guzar

    garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahaar

    taerak-e-buland-baam dana-o-dam se guzar

    koh-shigaf teri zarb tujh se kushad-e-sharq-o-gharb

    tegh-e-hilal ki tarah aish-e-niyam se guzar

    tera imam be-huzur teri namaz be-surur

    aisi namaz se guzar aise imam se guzar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    javvad ahmad

    javvad ahmad

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now