Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin

Nasir Kazmi

tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    asīr-e-bazm hai ham-suḳhan tujhe zauq-e-nāla-e-nai nahīñ

    tirā dil gudāz ho kis tarah ye tire mizāj lai nahīñ

    tirā har kamāl hai zāhirī tirā har ḳhayāl hai sarsarī

    koī dil baat karūñ to kyā tire dil meñ aag to hai nahīñ

    jise sun ke ruuh mahak uThe jise ke dard chahak uThe

    tire saaz meñ vo sadā nahīñ tire mai-kade meñ vo mai nahīñ

    kahāñ ab vo mausam-e-rañg-o-bū ki ragoñ meñ bol uThe lahū

    yūñhī nāgavār chubhan hai ki jo shāmil-e-rag-o-pai nahīñ

    tirā dil ho dard se āshnā to ye naala ġhaur se sun zarā

    baḌā jāñ-gusil hai ye vāqi.a ye fasāna-e-jam-o-kai nahīñ

    maiñ huuñ ek shā.ir-e-be-navā mujhe kaun chāhe mire sivā

    maiñ amīr-e-shām-o-ajam nahīñ maiñ kabīr-e-kūfa-o-rai nahīñ

    yahī sher haiñ mirī saltanat isī fan meñ hai mujhe āfiyat

    mire kāsa-e-shab-o-roz meñ tire kaam koī shai nahīñ

    tu asir-e-bazm hai ham-suKHan tujhe zauq-e-nala-e-nai nahin

    tera dil gudaz ho kis tarah ye tere mizaj ki lai nahin

    tera har kamal hai zahiri tera har KHayal hai sarsari

    koi dil ki baat karun to kya tere dil mein aag to hai nahin

    jise sun ke ruh mahak uThe jise pi ke dard chahak uThe

    tere saz mein wo sada nahin tere mai-kade mein wo mai nahin

    kahan ab wo mausam-e-rang-o-bu ki ragon mein bol uThe lahu

    yunhi nagawar chubhan si hai ki jo shamil-e-rag-o-pai nahin

    tera dil ho dard se aashna to ye nala ghaur se sun zara

    baDa jaan-gusil hai ye waqia ye fasana-e-jam-o-kai nahin

    main hun ek shair-e-be-nawa mujhe kaun chahe mere siwa

    main amir-e-sham-o-ajam nahin main kabir-e-kufa-o-rai nahin

    yahi sher hain meri saltanat isi fan mein hai mujhe aafiyat

    mere kasa-e-shab-o-roz mein tere kaam ki koi shai nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nasir Kazmi

    Nasir Kazmi

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 701)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now