Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bhi fariyaadi hua tha iltija maine bhi ki

Obaid Siddiqi

tu bhi fariyaadi hua tha iltija maine bhi ki

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    bhī fariyādī huā thā iltijā maiñ ne bhī

    na thā mujrim akelā haañ ḳhatā maiñ ne bhī

    zulm donoñ ne kiyā thā donoñ the is meñ sharīk

    ibtidā gar ne to intihā maiñ ne bhī

    sirf ne nahīñ justujū-e-chāra-gar

    dard jab had se baḌhā to kuchh davā maiñ ne bhī

    kis ne kyā māñgā falak se aur kis ko kyā milā

    haath ne bhī uThā.e the duā maiñ ne bhī

    maiñ tirā hissa na ban paayā ye achchhā huā

    go ye ḳhvāhish ai hujūm-e-dil-rubā maiñ ne bhī

    sabza-e-begāna se rishta mirā kuchh kam nahīñ

    is chaman ābyārī ai ghaTā maiñ ne bhī

    tu bhi fariyaadi hua tha iltija main ne bhi ki

    tu na tha mujrim akela han KHata main ne bhi ki

    zulm donon ne kiya tha donon the is mein sharik

    ibtida gar tu ne ki to intiha main ne bhi ki

    sirf tu ne hi nahin ki justuju-e-chaara-gar

    dard jab had se baDha to kuchh dawa main ne bhi ki

    kis ne kya manga falak se aur kis ko kya mila

    hath tu ne bhi uThae the dua main ne bhi ki

    main tera hissa na ban paya ye achchha hi hua

    go ye KHwahish ai hujum-e-dil-ruba main ne bhi ki

    sabza-e-begana se rishta mera kuchh kam nahin

    is chaman ki aabyari ai ghaTa main ne bhi ki

    Source:

    Rang hava main phel raha hai (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now