Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bhi kar ghaur is kahani par

Anwar Sadeed

tu bhi kar ghaur is kahani par

Anwar Sadeed

MORE BYAnwar Sadeed

    bhī kar ġhaur is kahānī par

    jo likhī rahī hai paanī par

    ye zamīñ zar ugā.egī ik din

    rakh yaqīñ apnī kalba-rānī par

    us be-mehvarī pe ġhaur na kar

    rahm khā us be-zabānī par

    garche mushkil talāsh thī us

    ghar tirā mil gayā nishānī par

    un se ma.anī kashīd kar apne

    naqsh ubhre haiñ jo bhī paanī par

    qaa.em 'anvar-sadīd' ne rakkhā

    irtikāz apnī zindagānī par

    tu bhi kar ghaur is kahani par

    jo likhi ja rahi hai pani par

    ye zamin zar ugaegi ek din

    rakh yaqin apni kalba-rani par

    us ki be-mehwari pe ghaur na kar

    rahm kha us ki be-zabani par

    garche mushkil talash thi us ki

    ghar tera mil gaya nishani par

    un se mani kashid kar apne

    naqsh ubhre hain jo bhi pani par

    qaem 'anwar-sadid' ne rakkha

    irtikaz apni zindagani par

    Source:

    Prinda Safar men (Pg. 41)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now