Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa

Ateequllah

tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa

Ateequllah

MORE BYAteequllah

    bhī to ek lafz hai ik din mire bayāñ meñ aa

    mere yaqīñ meñ gasht kar merī hadd-e-gumāñ meñ aa

    nīñdoñ meñ dauḌtā huā terī taraf nikal gayā

    bhī to ek din kabhī mere hisār-e-jāñ meñ aa

    ik shab hamāre saath bhī ḳhanjar nok par kabhī

    larzīda chashm-e-nam meñ chal jalte hue makāñ meñ aa

    narġhe meñ dostoñ ke kab tak rahegā surḳh-rū

    neza-ba-neza dū-ba-dū-saf-hā-e-dushmanāñ meñ aa

    ik roz fikr-e-āb-o-nāñ tujh ko bhī ho jān-e-jahāñ

    qaus-e-abad ko toḌ kar is arsa-e-ziyāñ meñ aa

    tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa

    mere yaqin mein gasht kar meri hadd-e-guman mein aa

    nindon mein dauDta hua teri taraf nikal gaya

    tu bhi to ek din kabhi mere hisar-e-jaan mein aa

    ek shab hamare sath bhi KHanjar ki nok par kabhi

    larzida chashm-e-nam mein chal jalte hue makan mein aa

    narghe mein doston ke tu kab tak rahega surKH-ru

    neza-ba-neza du-ba-du-saf-ha-e-dushmanan mein aa

    ek roz fikr-e-ab-o-nan tujh ko bhi ho jaan-e-jahan

    qaus-e-abad ko toD kar is arsa-e-ziyan mein aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now