tu dariya hai aur Thaharne wala main
tū dariyā hai aur Thaharne vaalā maiñ
gum hai mujh meñ ḳhud se guzarne vaalā maiñ
sūraj jaisā manzar manzar bikhrā tū
ā.īnoñ kī dhuup se Darne vaalā maiñ
terī galī se sar ko jhukā.e guzrā huuñ
kabhī zamīñ par paañv na dharne vaalā maiñ
saaya saaya dhuup ugāne vaalā tū
ḳhvāboñ jaisā aañkh utarne vaalā maiñ
jis bastī meñ shaam utarne vaalī ho
us bastī ke naam se Darne vaalā maiñ
kisī varaq par mujhe na likhnā dost mire
andar bāhar roz bikharne vaalā maiñ
tu dariya hai aur Thaharne wala main
gum hai mujh mein KHud se guzarne wala main
suraj jaisa manzar manzar bikhra tu
aainon ki dhup se Darne wala main
teri gali se sar ko jhukae guzra hun
kabhi zamin par panw na dharne wala main
saya saya dhup ugane wala tu
KHwabon jaisa aankh utarne wala main
jis basti mein sham utarne wali ho
us basti ke nam se Darne wala main
kisi waraq par mujhe na likhna dost mere
andar bahar roz bikharne wala main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.