tu dekhe to ek nazar bahut hai
tū dekhe to ik nazar bahut hai
ulfat tirī is qadar bahut hai
ai dil tū na kar hamārī ḳhasmī
bas ik dil-e-kīna-var bahut hai
Tuk aur bhī sabr kar ki mujh ko
likhnā abhī nāma-bar bahut hai
ham aabla ban rahe haiñ ham ko
ik jumbish-e-neshtar bahut hai
shīshe meñ tire sharāb saaqī
Tuk ham ko bhī de agar bahut hai
is rañg se apne ghar na jaanā
dāman tirā ḳhuuñ meñ tar bahut hai
afsāna-e-ishq kis se kahiye
is baat meñ dard-e-sar bahut hai
mujh ko nahīñ aah kā bharosa
ya.anī ki ye be-asar bahut hai
is dil kī to tū ḳhabar rakkhā kar
ye aap se be-ḳhabar bahut hai
kyā bigḌī hai aaj 'mus.hafī' se
is kūche meñ shor-o-shar bahut hai
tu dekhe to ek nazar bahut hai
ulfat teri is qadar bahut hai
ai dil tu na kar hamari KHasmi
bas ek dil-e-kina-war bahut hai
Tuk aur bhi sabr kar ki mujh ko
likhna abhi nama-bar bahut hai
hum aabla ban rahe hain hum ko
ek jumbish-e-neshtar bahut hai
shishe mein tere sharab saqi
Tuk hum ko bhi de agar bahut hai
is rang se apne ghar na jaana
daman tera KHun mein tar bahut hai
afsana-e-ishq kis se kahiye
is baat mein dard-e-sar bahut hai
mujh ko nahin aah ka bharosa
yani ki ye be-asar bahut hai
is dil ki to tu KHabar rakkha kar
ye aap se be-KHabar bahut hai
kya bigDi hai aaj 'mushafi' se
is kuche mein shor-o-shar bahut hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 384)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.