Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja

Danish Aziz

tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja

Danish Aziz

MORE BYDanish Aziz

    faqat kahānī sun hichkiyoñ ko bhuul

    ashk-bār log gin tāliyoñ ko bhuul

    mausamoñ ne kyā kiyā ye kahānī chhoḌ de

    bārishoñ ko bhuul pāniyoñ ko bhuul

    ab zabāñ meñ aa ga.iiñ luknateñ rukāvaTeñ

    merī guftugū narmiyoñ ko bhuul

    zindagī hai muḳhtasar har 'inād chhoḌ de

    ḳhūbiyoñ ko yaad rakh ḳhāmiyoñ ko bhuul

    ye chaman tirā chaman phuul tere phuul haiñ

    ḳhud dekh-bhāl kar māliyoñ ko bhuul

    bhuul vo din niiñd raat vo jāgnā

    jugnuoñ ko bhuul titliyoñ ko bhuul

    vo hamāre bachpane kahānī thī faqat

    shāh-zāde bhuul rāniyoñ ko bhuul

    jis meñ jitnā zarf thā us ne vo dikhā diyā

    merī baat maan talḳhiyoñ ko bhuul

    'dānish'-e-shikasta-pā ab to vā'izoñ sun

    mahfiloñ ko bhuul sāqiyoñ ko bhuul

    tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja

    ashk-bar log gin taliyon ko bhul ja

    mausamon ne kya kiya ye kahani chhoD de

    barishon ko bhul ja paniyon ko bhul ja

    ab zaban mein aa gain luknaten rukawaTen

    meri guftugu ki tu narmiyon ko bhul ja

    zindagi hai muKHtasar har 'inad chhoD de

    KHubiyon ko yaad rakh KHamiyon ko bhul ja

    ye chaman tera chaman phul tere phul hain

    KHud hi dekh-bhaal kar maliyon ko bhul ja

    bhul ja wo din ki nind raat ka wo jagna

    jugnuon ko bhul ja titliyon ko bhul ja

    wo hamare bachpane ki kahani thi faqat

    shah-zade bhul ja raniyon ko bhul ja

    jis mein jitna zarf tha us ne wo dikha diya

    meri baat man ja talKHiyon ko bhul ja

    'danish'-e-shikasta-pa ab to wa'izon ki sun

    mahfilon ko bhul ja saqiyon ko bhul ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now