Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe

Aish Dehlvi

tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe

Aish Dehlvi

MORE BYAish Dehlvi

    insāf se kah jis ḳhafā yaar rahe

    apne jiine se na kis tarah vo be-zār rahe

    zaḳhm-e-dil chhīle kabhī aur kabhī zaḳhm-e-jigar

    nāḳhun-e-dast-e-junūñ kab mire be-kār rahe

    in jafāoñ maza tum ko chakhā deveñge

    haañ agar zinda ham ai charḳh-e-jafākār rahe

    mai-kade meñ hai baḌī ye muġhāñ piirī

    ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyār rahe

    jalte bhunte rahe ham bazm-e-butāñ meñ lekin

    sham.a saañ us pe bhī sar dene ko tayyār rahe

    yuuñ to kyā ḳhvāb meñ bhī yaar milnā mālūm

    apne gar aah yahī tāla-e-bedār rahe

    ek siine meñ un donoñ rahnā hai muhāl

    ye dil rahe āh-e-sharar-bār rahe

    us se dil ḳhaak ho ummīd-e-husūl-e-matlab

    jis se ik bose pe sau tarah takrār rahe

    le ke paikāñ se tire tiir batā to qātil

    ḳhuun meñ Duube nahīñ kab lab-e-sofār rahe

    jins-e-dil ātish-e-ulfat meñ jale jo chāhe

    par kisī tarah tirī garmi-e-bāzār rahe

    bāzi-e-ishq meñ chipke raho kyā ḳhaak kaheñ

    ek dil rakhte the paas apne so baar rahe

    aisā dam naak meñ aayā hai ki ham raazī haiñ

    'aish' gar siine meñ is dil ke evaz ḳhaar rahe

    tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe

    apne jine se na kis tarah wo be-zar rahe

    zaKHm-e-dil chhile kabhi aur kabhi zaKHm-e-jigar

    naKHun-e-dast-e-junun kab mere be-kar rahe

    in jafaon ka maza tum ko chakha dewenge

    han agar zinda hum ai charKH-e-jafakar rahe

    mai-kade mein hai baDi ye hi mughan ki piri

    ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyar rahe

    jalte bhunte rahe hum bazm-e-butan mein lekin

    shama san us pe bhi sar dene ko tayyar rahe

    yun to kya KHwab mein bhi yar ka milna malum

    apne gar aah yahi tala-e-bedar rahe

    ek ja sine mein un donon ka rahna hai muhaal

    ya ye dil hi rahe ya aah-e-sharar-bar rahe

    us se dil KHak ho ummid-e-husul-e-matlab

    jis se ek bose pe sau tarah ki takrar rahe

    le ke paikan se tere tir bata to qatil

    KHun mein Dube nahin kab ta lab-e-sofar rahe

    jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chahe

    par kisi tarah teri garmi-e-bazar rahe

    bazi-e-ishq mein chipke raho kya KHak kahen

    ek dil rakhte the pas apne so bar rahe

    aisa dam nak mein aaya hai ki hum raazi hain

    'aish' gar sine mein is dil ke ewaz KHar rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now