Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri

Lutf-ur-rahman

tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri

Lutf-ur-rahman

MORE BYLutf-ur-rahman

    is shahr meñ hai ek shanāsā merī

    ab kahīñ le ke mujhe chal shab-e-tanhā merī

    le gayā saath apne vo mere ḳhvāb-o-ḳhayāl

    zindagī ab bhī vahī hai tah o baalā merī

    us āñkhoñ meñ bhī pahchān ke Dore na mile

    dil dhaḌkan bhī salāmat thī sarāpā merī

    maiñ ki apnā pata pūchh rahā huuñ sab se

    kho ga.ī jaane kahāñ umr-e-guzishta merī

    chāñdnī jis ke sarāpā meñ simaT aa.ī thī

    aañkh ab bhī hai usī husn juuyā merī

    ab bhī ik bhiiḌ hai yūsuf ke ḳharīdāroñ

    ab bhī istāda hai bāzār meñ duniyā merī

    dosh par sar jagah turra-e-dastār mile

    aañkh ab le le koī mujh se ḳhudā-yā merī

    tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri

    ab kahin le ke mujhe chal shab-e-tanha meri

    le gaya sath hi apne wo mere KHwab-o-KHayal

    zindagi ab bhi wahi hai tah o baala meri

    us ki aankhon mein bhi pahchan ke Dore na mile

    dil ki dhaDkan bhi salamat thi sarapa meri

    main ki apna hi pata puchh raha hun sab se

    kho gai jaane kahan umr-e-guzishta meri

    chandni jis ke sarapa mein simaT aai thi

    aankh ab bhi hai usi husn ki juya meri

    ab bhi ek bhiD hai yusuf ke KHaridaron ki

    ab bhi istada hai bazar mein duniya meri

    dosh par sar ki jagah turra-e-dastar mile

    aankh ab le le koi mujh se KHuda-ya meri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now