Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu jo aabaad hai ai dost mere dil ke qarib

Abdul Malik Soz

tu jo aabaad hai ai dost mere dil ke qarib

Abdul Malik Soz

MORE BYAbdul Malik Soz

    jo ābād hai ai dost mire dil ke qarīb

    merī manzil bhī hai goyā tirī manzil ke qarīb

    Duub jaate haiñ talātum meñ safīne aksar

    Dūbtā aur kuchh baat hai sāhil ke qarīb

    uTh gayā dūrī-e-manzil thakan ehsās

    raah kuchh aur kaThin ho ga.ī manzil ke qarīb

    maut har baar rihā.ī meñ mirī māne.a huī

    le ga.ī ziist to aksar mujhe qātil ke qarīb

    'soz' ḳhud un ḳhalish rashk-e-masīhā.ī hai

    zaḳhm aise bhī shagufta haiñ mire dil ke qarīb

    tu jo aabaad hai ai dost mere dil ke qarib

    meri manzil bhi hai goya teri manzil ke qarib

    Dub jate hain talatum mein safine aksar

    Dubta aur hi kuchh baat hai sahil ke qarib

    uTh gaya duri-e-manzil ki thakan ka ehsas

    rah kuchh aur kaThin ho gai manzil ke qarib

    maut har bar rihai mein meri manea hui

    le gai zist to aksar mujhe qatil ke qarib

    'soz' KHud un ki KHalish rashk-e-masihai hai

    zaKHm aise bhi shagufta hain mere dil ke qarib

    Source:

    Tumhari Batain (Pg. 45)

    • Author: Abdul Malik Soz
      • Edition: 1963
      • Publisher: Anwar Aariaf, Karachi
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now