Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu KHud kahan hai qafila-e-salar dekhna

Naseer Koti

tu KHud kahan hai qafila-e-salar dekhna

Naseer Koti

MORE BYNaseer Koti

    ḳhud kahāñ hai qāfila-e-sālār dekhnā

    ab ham kahāñ haiñ ālam-e-raftār dekhnā

    ham chal paḌe haiñ manzil-e-maqsūd ke liye

    ab sañg dekhnā hai na dīvār dekhnā

    taz.īn-e-gulsitāñ se nahīñ vāsta jinheñ

    un ke gharoñ meñ phuul ke ambār dekhnā

    jab izn-e-arz-e-hāl diyā hai to chup raho

    ab nāravā hai talḳhī-e-guftār dekhnā

    ai bāġhbāñ na dekh hiqārat se is tarah

    jab ham na hoñ to ālam-e-gulzār dekhnā

    aa.e to koī mārka-e-hashr sāmne

    ahl-e-junūñ jazba-e-īsār dekhnā

    adnā samajh rahe ho hamārī bisāt ko

    yaaro sabāt-e-azm sar-e-dār dekhnā

    sau baar maiñ ne un ko pukārā hai ai 'nasīr'

    guzrā bahut garāñ unheñ ik baar dekhnā

    tu KHud kahan hai qafila-e-salar dekhna

    ab hum kahan hain aalam-e-raftar dekhna

    hum chal paDe hain manzil-e-maqsud ke liye

    ab sang dekhna hai na diwar dekhna

    tazin-e-gulsitan se nahin wasta jinhen

    un ke gharon mein phul ke ambar dekhna

    jab izn-e-arz-e-haal diya hai to chup raho

    ab narawa hai talKHi-e-guftar dekhna

    ai baghban na dekh hiqarat se is tarah

    jab hum na hon to aalam-e-gulzar dekhna

    aae to koi marka-e-hashr samne

    ahl-e-junun ka jazba-e-isar dekhna

    adna samajh rahe ho hamari bisat ko

    yaro sabaat-e-azm sar-e-dar dekhna

    sau bar main ne un ko pukara hai ai 'nasir'

    guzra bahut garan unhen ek bar dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now