Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu kisi aur ki hai baat ye sochi to na thi

Khan Hasnain Aqib

tu kisi aur ki hai baat ye sochi to na thi

Khan Hasnain Aqib

MORE BYKhan Hasnain Aqib

    kisī aur hai baat ye sochī to na thī

    bevafā.ī tirī aadat sahī achchhī to na thī

    har sahelī tirī kartī rahī jis tārīf

    tere hāthoñ pe lahū thā mirā mehñdī to na thī

    jo aayā to mire chehre pe lauTī raunaq

    tujh se pahle mirī hālat kabhī aisī to na thī

    terī yādoñ kasak hai ki baḌhī jaatī hai

    ye havā raat tirī samt se guzrī to na thī

    jaane kyoñ use kartā rahā barbād sadā

    vo jo ik dil thā mirā vo koī dehlī to na thī

    chhoḌ kar jis ko tirī samt chalā aayā huuñ

    tujh se achchhī thī vo lekin tire jaisī to na thī

    kaifiyat us na dekhī ga.ī ham se 'āqib'

    maslahat yuuñ kabhī bāzār meñ baiThī to na thī

    tu kisi aur ki hai baat ye sochi to na thi

    bewafai teri aadat sahi achchhi to na thi

    har saheli teri karti rahi jis ki tarif

    tere hathon pe lahu tha mera mehndi to na thi

    tu jo aaya to mere chehre pe lauTi raunaq

    tujh se pahle meri haalat kabhi aisi to na thi

    teri yaadon ki kasak hai ki baDhi jati hai

    ye hawa raat teri samt se guzri to na thi

    jaane kyon tu use karta raha barbaad sada

    wo jo ek dil tha mera wo koi dehli to na thi

    chhoD kar jis ko teri samt chala aaya hun

    tujh se achchhi thi wo lekin tere jaisi to na thi

    kaifiyat us ki na dekhi gai hum se 'aqib'

    maslahat yun kabhi bazar mein baiThi to na thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now