tu kyon usko soch raha hai
tū kyoñ us ko soch rahā hai
vo to tujh ko bhuul chukā hai
dil meñ kaisā ḳhauf bharā hai
phuul khile to Dar lagtā hai
maiñ kahtā huuñ use bhulā de
ye kyā rog lagā baiThā hai
yādeñ to bas bojh haiñ dil kā
aur yādoñ meñ kyā rakkhā hai
koī jo pūchhe haal mirā to
kah detā huuñ sab achchhā hai
pattā pattā Daalī Daalī
kis ke ġham meñ zard huā hai
har-sū phailā ḳhauf kā 'ālam
ḳhauf ye kaise phail gayā hai
'sādiq' terā mas.ala kyā hai
tū kyoñ maazī meñ rahtā hai
tu kyon us ko soch raha hai
wo to tujh ko bhul chuka hai
dil mein kaisa KHauf bhara hai
phul khile to Dar lagta hai
main kahta hun use bhula de
ye kya rog laga baiTha hai
yaaden to bas bojh hain dil ka
aur yaadon mein kya rakkha hai
koi jo puchhe haal mera to
kah deta hun sab achchha hai
patta patta Dali Dali
kis ke gham mein zard hua hai
har-su phaila KHauf ka 'alam
KHauf ye kaise phail gaya hai
'sadiq' tera masala kya hai
tu kyon mazi mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.