Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu meri ninden talashta hai yahi bahut hai

Afroz Alam

tu meri ninden talashta hai yahi bahut hai

Afroz Alam

MORE BYAfroz Alam

    merī nīñdeñ talāshtā hai yahī bahut hai

    mere ḳhvāboñ meñ jāgtā hai yahī bahut hai

    zamāna tujh ko harīf kah le use ye haq hai

    mirī nazar meñ devtā hai yahī bahut hai

    bahār meñ na jaane kaise kahāñ pe ġham thā

    ḳhizāñ meñ mujh ko pukārtā hai yahī bahut hai

    jahāñ charāġhoñ lau ḳhamoshī se chup huī haiñ

    vahāñ pe āḳhir boltā hai yahī bahut hai

    ḳhayāloñ ke ye sarāb tujh ko Dubo deñge

    jise kahtā hai rāsta hai yahī bahut hai

    ga.e dinoñ 'ajīb yādoñ ko bhuul jaao

    tujhe ik 'ālam' jo chāhtā hai yahī bahut hai

    tu meri ninden talashta hai yahi bahut hai

    tu mere KHwabon mein jagta hai yahi bahut hai

    zamana tujh ko harif kah le use ye haq hai

    meri nazar mein tu dewta hai yahi bahut hai

    bahaar mein tu na jaane kaise kahan pe gham tha

    KHizan mein mujh ko pukarta hai yahi bahut hai

    jahan charaghon ki lau KHamoshi se chup hui hain

    wahan pe aaKHir tu bolta hai yahi bahut hai

    KHayalon ke ye sarab tujh ko Dubo hi denge

    jise tu kahta hai rasta hai yahi bahut hai

    gae dinon ki 'ajib yaadon ko bhul jao

    tujhe ek 'alam' jo chahta hai yahi bahut hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now