Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu mere dard ko duniya nai nai dena

Iqbal Mateen

tu mere dard ko duniya nai nai dena

Iqbal Mateen

MORE BYIqbal Mateen

    mere dard ko duniyā na.ī na.ī denā

    mire ḳhudā mujhe kuchh aur āgahī denā

    jo hasrateñ mirī zindagī hāsil haiñ

    hasratoñ ke añdheroñ ko zindagī denā

    jo ne apne karam se diyā hai apnoñ ko

    mirī mizha ko un ashkoñ bhī namī denā

    ye ġham-kada to sañvartā rahā hai barsoñ se

    use jo raas na aa.e vahī ḳhushī denā

    maiñ tujh se kuchh bhī nahīñ māñgtā mire mālik

    mire qalam ko mire ḳhuuñ chāshnī denā

    jahāñ se dil ko bachā kar maiñ tujh talak lā.ūñ

    vahīñ pe siine meñ neze ik anī denā

    'matīn' terā nahīñ hai to aur kis hai

    bahisht denā to dozaḳh aag bhī denā

    tu mere dard ko duniya nai nai dena

    mere KHuda mujhe kuchh aur aagahi dena

    jo hasraten hi meri zindagi ka hasil hain

    tu hasraton ke andheron ko zindagi dena

    jo tu ne apne karam se diya hai apnon ko

    meri mizha ko un ashkon ki bhi nami dena

    ye gham-kada to sanwarta raha hai barson se

    use jo ras na aae wahi KHushi dena

    main tujh se kuchh bhi nahin mangta mere malik

    mere qalam ko mere KHun ki chashni dena

    jahan se dil ko bacha kar main tujh talak laun

    wahin pe sine mein neze ki ek ani dena

    'matin' tera nahin hai to aur kis ka hai

    bahisht dena to dozaKH ki aag bhi dena

    Source:

    Sareer-e-Jaan (Pg. 92)

    • Author: Iqbal Mateen
      • Publisher: Kul Hind Urdu Research Scholars Council
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now