Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu mere samne hansta bhi hai rota bhi hai

Umair Ali Anjum

tu mere samne hansta bhi hai rota bhi hai

Umair Ali Anjum

MORE BYUmair Ali Anjum

    mire sāmne hañstā bhī hai rotā bhī hai

    kyā tire dil meñ koī mere 'alāva bhī hai

    merā dil taḳht-e-sulaimān bhī hai mere liye

    baa'z logoñ ke liye ek khilaunā bhī hai

    tark-e-ulfat se bhī banjar na huī dil zamīñ

    hijr terā mirī āñkhoñ se chhalaktā bhī hai

    maiñ ne baḳhshā thā tujhe zo'm hasīñ hone

    thoḌā haq to tire husn pe merā bhī hai

    hijr aur vasl ke dorāhe pe maujūd huuñ maiñ

    pūchhnā ye thā koī tīsrā rasta bhī hai

    roz kuchh phuul darīche meñ dhare milte haiñ

    kyā 'umair' apnā koī chāhne vaalā bhī hai

    tu mere samne hansta bhi hai rota bhi hai

    kya tere dil mein koi mere 'alawa bhi hai

    mera dil taKHt-e-sulaiman bhi hai mere liye

    ba'z logon ke liye ek khilauna bhi hai

    tark-e-ulfat se bhi banjar na hui dil ki zamin

    hijr tera meri aankhon se chhalakta bhi hai

    main ne baKHsha tha tujhe zo'm hasin hone ka

    thoDa sa haq to tere husn pe mera bhi hai

    hijr aur wasl ke dorahe pe maujud hun main

    puchhna ye tha koi tisra rasta bhi hai

    roz kuchh phul dariche mein dhare milte hain

    kya 'umair' apna koi chahne wala bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now