Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi

Muneer Wahidi

tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi

Muneer Wahidi

MORE BYMuneer Wahidi

    muqīm sub.h-e-azal se hai mirī shāh-rag ke qarīñ sahī

    magar aa sakā na mujhe nazar mire dil meñ laakh makīñ sahī

    ye shikast-e-sheva-e-nāz hai jo mizāj-e-husn badal sake

    kabhī muñh se haañ na nikal sakī jo kahā nahīñ to nahīñ sahī

    maiñ vo āb-o-gil huuñ sho.abada ki malak fareb meñ aa ga.e

    mirī dastaras meñ hai arsh bhī maiñ hazār ḳhāk-nashīñ sahī

    ye surūr-o-zauq manzileñ ye maqām-e-shauq rif.ateñ

    mirī āh-e-sub.h den haiñ mujhe is bhī na yaqīñ sahī

    tirā āstāñ to na mil sakā tire naqsh-e-pā agar mileñ

    mujhe kaam sajda-e-shauq se mirā sajda nang-e-jabīñ sahī

    vo niyāz-mand 'munīr' hai jise mā-sivā se ġharaz nahīñ

    jo na dekhe aañkh uThā ke bhī koī rashk-e-māh-e-mubīñ sahī

    tu muqim subh-e-azal se hai meri shah-rag ke qarin sahi

    magar aa saka na mujhe nazar mere dil mein lakh makin sahi

    ye shikast-e-shewa-e-naz hai jo mizaj-e-husn badal sake

    kabhi munh se han na nikal saki jo kaha nahin to nahin sahi

    main wo aab-o-gil ka hun shoabada ki malak fareb mein aa gae

    meri dastaras mein hai arsh bhi main hazar KHak-nashin sahi

    ye surur-o-zauq ki manzilen ye maqam-e-shauq ki rifaten

    meri aah-e-subh ki den hain mujhe is ka bhi na yaqin sahi

    tera aastan to na mil saka tere naqsh-e-pa hi agar milen

    mujhe kaam sajda-e-shauq se mera sajda nang-e-jabin sahi

    wo niyaz-mand 'munir' hai jise ma-siwa se gharaz nahin

    jo na dekhe aankh uTha ke bhi koi rashk-e-mah-e-mubin sahi

    Source:

    Kalam-e-Muneer Wahidi (Pg. 154)

      • Publisher: Nushad Alam
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now