Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

Aale Ahmad Suroor

tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    payambar sahī ye mo.ajiza kaafī to nahīñ

    shā.irī ziist ke zaḳhmoñ talāfī to nahīñ

    sāya-e-gul meñ zarā der jo sustā.e haiñ

    sāya-e-dār se ye va.ada-ḳhilāfī to nahīñ

    apnī duniyā se milī fursat-e-yak-jast hameñ

    āsmāñ ke liye ik jast kaafī to nahīñ

    kisī chaḌhte hue sūraj parastish na karo

    dekh lo is meñ koī sho.abada-bāfī to nahīñ

    tishnagī ham ko milī tum hue sairāb to kyā

    in muqaddar sazāoñ se muāfī to nahīñ

    dev-mālā dhuñdlakā ho ki ḳhvāboñ kiran

    aaj ā.īna-sāzī munāfī to nahīñ

    ḳhvāb Takrāo haqīqat se ki sho.ale nikleñ

    is añdhere meñ diyā ek kaafī to nahīñ

    tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin

    shairi zist ke zaKHmon ki talafi to nahin

    saya-e-gul mein zara der jo sustae hain

    saya-e-dar se ye wada-KHilafi to nahin

    apni duniya se mili fursat-e-yak-jast hamein

    aasman ke liye ek jast hi kafi to nahin

    kisi chaDhte hue suraj ki parastish na karo

    dekh lo is mein koi shoabada-bafi to nahin

    tishnagi hum ko mili tum hue sairab to kya

    in muqaddar ki sazaon se muafi to nahin

    dew-mala ka dhundlaka ho ki KHwabon ki kiran

    aaj ki aaina-sazi ki munafi to nahin

    KHwab Takrao haqiqat se ki shoale niklen

    is andhere mein diya ek hi kafi to nahin

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 146)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now