Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu raaz samjha nahin dard ki paheli ka

Isma Hadia

tu raaz samjha nahin dard ki paheli ka

Isma Hadia

MORE BYIsma Hadia

    raaz samjhā nahīñ dard pahelī

    vo dāstāñ thī mirī naam thā sahelī

    dukhī huī mirī āñkheñ thī tere ashkoñ se

    ki rañg halkā paḌā thā kisī chamelī

    hañsī mazāq meñ mash.hūr thā ye shahr magar

    kisī ne dukh nahīñ bāñTā thā us akelī

    na jaane kaisī mohabbat meñ qaid ho ga.ī huuñ

    maiñ roz dekhtī huuñ dā.era hathelī

    vo dil sej pe ai 'hādia' biThā.egā

    sajā hai ḳhvāb meñ kamra koī havelī

    tu raaz samjha nahin dard ki paheli ka

    wo dastan thi meri nam tha saheli ka

    dukhi hui meri aankhen thi tere ashkon se

    ki rang halka paDa tha kisi chameli ka

    hansi mazaq mein mashhur tha ye shahr magar

    kisi ne dukh nahin banTa tha us akeli ka

    na jaane kaisi mohabbat mein qaid ho gai hun

    main roz dekhti hun daera hatheli ka

    wo dil ki sej pe ai 'hadia' biThaega

    saja hai KHwab mein kamra koi haweli ka

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now