Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe

Al-Haaj Al-Hafiz

tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe

Al-Haaj Al-Hafiz

MORE BYAl-Haaj Al-Hafiz

    rahe ye rut rahe ye daur-e-paimāna rahe

    tā-qayāmat sāqiyā ābād mai-ḳhāna rahe

    ik taraf jaltā rahā parvāna sham-e-bazm par

    ik taraf ham sham.a-ruḳh par ban ke parvāna rahe

    shor bulbul chaman meñ hai to kyā ai ham-navā

    ham to dīvāne uḌāte ḳhāk-e-vīrāna rahe

    kyā zarā baat ne batañgaḌ kar diyā

    tujh se mere yaar kis kab ko yārāna rahe

    ham se dīvāne meñ shikve kahāñ tāqat bhalā

    tohmateñ ham par lagā kar aap farzāna rahe

    merī ulfat meñ nahīñ kuchh farq terī baat se

    mere lab par tere ġhamze shukrāna rahe

    kījiye 'dīvān' raushan is tarah se naam ko

    hashr tak to kam se kam ulfat afsāna rahe

    tu rahe ye rut rahe ye daur-e-paimana rahe

    ta-qayamat saqiya aabaad mai-KHana rahe

    ek taraf jalta raha parwana sham-e-bazm par

    ek taraf hum shama-ruKH par ban ke parwana rahe

    shor bulbul ka chaman mein hai to kya ai ham-nawa

    hum to diwane uDate KHak-e-virana rahe

    kya zara si baat ka tu ne batangaD kar diya

    tujh se mere yar kis ka kab ko yarana rahe

    hum se diwane mein shikwe ki kahan taqat bhala

    tohmaten hum par laga kar aap farzana rahe

    meri ulfat mein nahin kuchh farq teri baat se

    mere lab par tere ghamze ka hi shukrana rahe

    kijiye 'diwan' raushan is tarah se nam ko

    hashr tak to kam se kam ulfat ka afsana rahe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now