Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu unhen yaad aaegi ai juebar agle baras

Irfan Siddiqi

tu unhen yaad aaegi ai juebar agle baras

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    unheñ yaad aa.egī ai jūebār agle baras

    ab to lauTegī parindoñ qatār agle baras

    aur kuchh din us se milne ke liye jaate raho

    bastiyāñ bas jā.eñgī dariyā ke paar agle baras

    tum to sachche ho magar dil bharosa kuchh nahīñ

    bujh na jaa.e ye charāġh-e-intizār agle baras

    pahle ham pichhlī rutoñ ke dard kar leñ hisāb

    is baras ke saare zaḳhmoñ shumār agle baras

    maiñ na.e mausam meñ barg-e-tāza ban kar ā.ūñgā

    phir mileñge ai havā-e-shāḳhsār agle baras

    tu unhen yaad aaegi ai juebar agle baras

    ab to lauTegi parindon ki qatar agle baras

    aur kuchh din us se milne ke liye jate raho

    bastiyan bas jaengi dariya ke par agle baras

    tum to sachche ho magar dil ka bharosa kuchh nahin

    bujh na jae ye charagh-e-intizar agle baras

    pahle hum pichhli ruton ke dard ka kar len hisab

    is baras ke sare zaKHmon ka shumar agle baras

    main nae mausam mein barg-e-taza ban kar aaunga

    phir milenge ai hawa-e-shaKHsar agle baras

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now