Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

Mansha ur Rahman Khan Mansha

tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

Mansha ur Rahman Khan Mansha

MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha

    tūfāñ nazar meñ hai na kinārā nazar meñ hai

    ik azm-e-mo'atabar sahārā nazar meñ hai

    vo din ga.e ki tīrgī-e-shab thā malāl

    ab jalva-e-sahar nazārā nazar meñ hai

    husn-e-numūd-e-sub.h allāh re kamāl

    bahtā huā vo nuur dhārā nazar meñ hai

    kuchh zauq par garāñ to na thā husn-e-kā.enāt

    kyā kījiye ki husn tumhārā nazar meñ hai

    dil ko luTe hue to zamāna huā magar

    ab bhī kisī nazar ishārā nazar meñ hai

    uf DabDabātī aañkh se girtā huā vo ashk

    ab tak vo Dūbtā huā taarā nazar meñ hai

    vo be-ruḳhī se dekhte haiñ dekhte to haiñ

    'manshā' maqām kuchh to hamārā nazar meñ hai

    tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

    ek azm-e-mo'atabar ka sahaara nazar mein hai

    wo din gae ki tirgi-e-shab ka tha malal

    ab jalwa-e-sahar ka nazara nazar mein hai

    husn-e-numud-e-subh ka allah re kamal

    bahta hua wo nur ka dhaara nazar mein hai

    kuchh zauq par garan to na tha husn-e-kaenat

    kya kijiye ki husn tumhaara nazar mein hai

    dil ko luTe hue to zamana hua magar

    ab bhi kisi nazar ka ishaara nazar mein hai

    uf DabDabaati aankh se girta hua wo ashk

    ab tak wo Dubta hua tara nazar mein hai

    wo be-ruKHi se dekhte hain dekhte to hain

    'mansha' maqam kuchh to hamara nazar mein hai

    Source:

    Nawa-e-Dil (Pg. 78)

    • Author: Mansha ur Rahman Khan Mansha
      • Edition: 1963
      • Publisher: Baitul Ishat, Nagpur
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now