Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

Guhar Khairabadi

tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

Guhar Khairabadi

MORE BYGuhar Khairabadi

    tūfān samundar ke na dariyā ke bhañvar dekh

    sāhil tamannā hai to maujoñ safar dekh

    ḳhushiyoñ ḳhazīna tah-e-dāmān-e-alam hai

    guzre shab-e-tārīk to phir nūr-e-sahar dekh

    uḌ jaanā falak tak koī mushkil nahīñ lekin

    sūraj ke tamāzat se jhulas jaa.eñ na par dekh

    me.arāj hai me.arāj tire zauq-e-nazar

    har manzar-e-dil-kash yahī kahtā hai udhar dekh

    chashme haiñ na dariyā na samundar hai na jhīleñ

    hai pyaas ki aalam haiñ sarāboñ safar dekh

    Takrā.eñ to sahrāoñ meñ bhī aag lagā deñ

    poshīda rag-e-sañg meñ haiñ kitne sharar dekh

    ne to mirī samt se muñh moḌ liyā hai

    ab hotī hai kis tarah mirī umr basar dekh

    apnī hifāzat duā maañg chukā hai

    ab baiTh ke ḳhalvat meñ duāoñ asar dekh

    is kār-gah-e-dahr meñ ai rahmat-e-ālam

    ik maiñ nahīñ sab haiñ tire dast-e-nigar dekh

    kyā tah meñ samundar 'guhar' DhūñD rahā hai

    merī sadaf-e-chashm meñ ashkoñ ke 'guhar' dekh

    tufan samundar ke na dariya ke bhanwar dekh

    sahil ki tamanna hai to maujon ka safar dekh

    KHushiyon ka KHazina tah-e-daman-e-alam hai

    guzre shab-e-tarik to phir nur-e-sahar dekh

    uD jaana falak tak koi mushkil nahin lekin

    suraj ke tamazat se jhulas jaen na par dekh

    mearaj hai mearaj tere zauq-e-nazar ki

    har manzar-e-dil-kash yahi kahta hai udhar dekh

    chashme hain na dariya na samundar hai na jhilen

    hai pyas ki aalam hain sarabon ka safar dekh

    Takraen to sahraon mein bhi aag laga den

    poshida rag-e-sang mein hain kitne sharar dekh

    tu ne to meri samt se munh moD liya hai

    ab hoti hai kis tarah meri umr basar dekh

    tu apni hifazat ki dua mang chuka hai

    ab baiTh ke KHalwat mein duaon ka asar dekh

    is kar-gah-e-dahr mein ai rahmat-e-alam

    ek main hi nahin sab hain tere dast-e-nigar dekh

    kya tah mein samundar ki 'guhar' DhunD raha hai

    meri sadaf-e-chashm mein ashkon ke 'guhar' dekh

    Source:

    Aab-e-Gohar (Pg. 125)

    • Author: Sayed-ul-Hassan Khan
      • Edition: 1995
      • Publisher: Sayed-ul-Hassan Khan
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now