Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan

Mushafi Ghulam Hamdani

tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    tuur par apne kisī din bhī ḳhur-o-ḳhvāb hai yaañ

    zindagānī bhalā kaun asbāb hai yaañ

    chāh-e-sīmāb se sīmāb jo joshāñ hai hanūz

    maiñ samajhtā huuñ ki madfūñ koī betāb hai yaañ

    ḳham-e-abru tire kyūñke na tārīf karūñ

    is se behtar bhī koī teġh-e-siyah-tāb hai yaañ

    maqtal-e-ishq bhī kyā hai jā-e-khaTkī

    ki na sar aur na sajda hai na mehrāb hai yaañ

    merī turbat ke to āñgan meñ na Thahrā ik dam

    ye tire meñ na aayā shab-e-mahtāb hai yaañ

    kushtagāñ ko tirī shamshīr yahī kahtī hai

    kījiye is pe qanā.at to dam-e-āb hai yaañ

    is ko bhī gar na falak dekh sake char vaale

    aur to kyā hai pareshānī asbāb hai yaañ

    e'tibārāt haiñ ye hastī-e-mauhūmī ke

    fil-haqīqat to koī ḳhaañ hai na navvāb hai yaañ

    ḳhaak turbat mirī dekh chamaktī ahbāb

    meñ kahte haiñ magar ma.adan-e-sīmāb hai yaañ

    kyā ḳhat-e-āshiq-o-ma.ashūq ko koī samjhe

    kuchh kināyat hai ādāb na alqāb hai yaañ

    'mus.hafī' aap ham qatl haiñ apne hāthoñ

    varna kiiñ ḳhvāh rustam hai na sohrāb hai yaañ

    tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan

    zindagani ka bhala kaun sa asbab hai yan

    chah-e-simab se simab jo joshan hai hanuz

    main samajhta hun ki madfun koi betab hai yan

    KHam-e-abru ki tere kyunke na tarif karun

    is se behtar bhi koi tegh-e-siyah-tab hai yan

    maqtal-e-ishq ki bhi kya hi hai ja-e-khaTki

    ki na sar aur na sajda hai na mehrab hai yan

    meri turbat ke to aangan mein na Thahra ek dam

    ye tere ji mein na aaya shab-e-mahtab hai yan

    kushtagan ko teri shamshir yahi kahti hai

    kijiye is pe qanaat to dam-e-ab hai yan

    is ko bhi gar na falak dekh sake char wale

    aur to kya hai pareshani ka asbab hai yan

    e'tibaraat hain ye hasti-e-mauhumi ke

    fil-haqiqat to koi KHan hai na nawwab hai yan

    KHak turbat ki meri dekh chamakti ahbab

    ji mein kahte hain magar madan-e-simab hai yan

    kya KHat-e-ashiq-o-mashuq ko koi samjhe

    kuchh kinayat si hai aadab na alqab hai yan

    'mushafi' aap hi hum qatl hain apne hathon

    warna kin KHwah tu rustam hai na sohrab hai yan

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 148)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now