Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main

Fazal Husain Sabir

tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    tuur par kyā munhasir hai jis taraf jaatā huuñ maiñ

    tere jalve jhalak har chiiz meñ paatā huuñ maiñ

    ālam-e-ġhurbat meñ tanhā.ī se ghabrātā huuñ maiñ

    yād-e-ahbāb-e-vatan se dil ko bahlātā huuñ maiñ

    haa.e mastī meñ nahīñ rahtā zabāñ par iḳhtiyār

    bātoñ bātoñ meñ na kahne bhī kah jaatā huuñ maiñ

    ai adam ke jaane vaalo koī dam der hai

    musta.id huuñ maiñ bhī aane ke liye aatā huuñ maiñ

    manzil-e-maqsūd tak pahuñchūñ yahī dhun hai mujhe

    dam nahīñ letā kahīñ baḌhtā chalā jaatā huuñ maiñ

    muḳhtasar rūdād hai ye be-qarārī mirī

    ḳhud taḌap kar dekhne vāloñ ko taḌpātā huuñ maiñ

    kyā kisī husn hai ġhārat-gar-e-tāb-o-tavāñ

    dekhte ik jhalak behosh ho jaatā huuñ maiñ

    merī hastī un mahfil meñ garāñ-ḳhātir nahīñ

    sūrat-e-bād-e-sabā jaatā huuñ maiñ aatā huuñ maiñ

    de rahe haiñ kyā mujhe jiine ke ta.ane baar baar

    nā-munāsib hai mirā jiinā to mar jaatā huuñ maiñ

    ahl-e-mahfil ko sunātā huuñ mazāmīn-e-bahār

    tab-e-rañgīñ ke zarīye phuul barsātā huuñ maiñ

    garche qatra thā magar dariyā meñ milne ke sivā

    mauj ban kar sat.h par dariyā lahrātā huuñ maiñ

    bār-e-ḳhātir hai agar mahfil meñ merā baiThnā

    kaisī mahfil lo zamāne se uThā jaatā huuñ maiñ

    dar-haqīqat mere haq meñ maut paiġhām thā

    un ye kahnā ḳhudā-hāfiz tirā jaatā huuñ maiñ

    nāḳhun-e-tadbīr se taqdīr letā huuñ kaam

    apnī har uljhī huī gutthī ko suljhātā huuñ maiñ

    merī istid.ā pe mujh ko Tālne ke vāste

    kah diyā zālim ne achchhā tum chalo aatā huuñ maiñ

    qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisār

    ġhāziyān-e-qaum tārīḳh dohrātā huuñ maiñ

    kyuuñ na ho 'sābir' mire sher-o-suḳhan meñ puḳhtagī

    mo'taqid jab hazrat-e-'nāsiḳh' kahlātā huuñ maiñ

    tur par kya munhasir hai jis taraf jata hun main

    tere jalwe ki jhalak har chiz mein pata hun main

    aalam-e-ghurbat mein tanhai se ghabraata hun main

    yaad-e-ahbab-e-watan se dil ko bahlata hun main

    hae masti mein nahin rahta zaban par iKHtiyar

    baaton baaton mein na kahne ki bhi kah jata hun main

    ai adam ke jaane walo koi dam ki der hai

    mustaid hun main bhi aane ke liye aata hun main

    manzil-e-maqsud tak pahunchun yahi dhun hai mujhe

    dam nahin leta kahin baDhta chala jata hun main

    muKHtasar rudad hai ye be-qarari ki meri

    KHud taDap kar dekhne walon ko taDpata hun main

    kya kisi ka husn hai ghaarat-gar-e-tab-o-tawan

    dekhte hi ek jhalak behosh ho jata hun main

    meri hasti un ki mahfil mein garan-KHatir nahin

    surat-e-baad-e-saba jata hun main aata hun main

    de rahe hain kya mujhe jine ke tane bar bar

    na-munasib hai mera jina to mar jata hun main

    ahl-e-mahfil ko sunata hun mazamin-e-bahaar

    tab-e-rangin ke zariye phul barsata hun main

    garche qatra tha magar dariya mein milne ke siwa

    mauj ban kar sath par dariya ki lahraata hun main

    bar-e-KHatir hai agar mahfil mein mera baiThna

    kaisi mahfil lo zamane se uTha jata hun main

    dar-haqiqat mere haq mein maut ka paigham tha

    un ka ye kahna KHuda-hafiz tera jata hun main

    naKHun-e-tadbir se taqdir ka leta hun kaam

    apni har uljhi hui gutthi ko suljhata hun main

    meri istida pe mujh ko Talne ke waste

    kah diya zalim ne achchha tum chalo aata hun main

    qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisar

    ghaziyan-e-qaum ki tariKH dohraata hun main

    kyun na ho 'sabir' mere sher-o-suKHan mein puKHtagi

    mo'taqid jab hazrat-e-'nasiKH' ka kahlata hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now