Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuT kar girti fasilon par hawa ka shor tha

Husain Abid

TuT kar girti fasilon par hawa ka shor tha

Husain Abid

MORE BYHusain Abid

    TuuT kar girtī fasīloñ par havā shor thā

    raat bhar shahr-e-badan meñ kis balā shor thā

    dhuup niklī to vahī pyāsī zamīñ ke hoñT the

    bastiyoñ meñ duur tak gahrī ghaTā shor thā

    tā.ir-e-ḳhushbū ke haq meñ hijrateñ virsa huiiñ

    ḳhema-gāh-e-gul meñ vo bād-e-sabā shor thā

    shahr saarā ḳhauf ke gūñge qile meñ qaid thā

    ik ḳhudā-e-vaqt hākim sadā shor thā

    vo faqat ik shor thā ham par pas-e-maqtal khulā

    halqa-e-yārāñ meñ jo rasm-e-vafā shor thā

    TuT kar girti fasilon par hawa ka shor tha

    raat bhar shahr-e-badan mein kis bala ka shor tha

    dhup nikli to wahi pyasi zamin ke honT the

    bastiyon mein dur tak gahri ghaTa ka shor tha

    tair-e-KHushbu ke haq mein hijraten wirsa huin

    KHema-gah-e-gul mein wo baad-e-saba ka shor tha

    shahr sara KHauf ke gunge qile mein qaid tha

    ek KHuda-e-waqt ki hakim sada ka shor tha

    wo faqat ek shor tha hum par pas-e-maqtal khula

    halqa-e-yaran mein jo rasm-e-wafa ka shor tha

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 549)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now