Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe hue khilaune nishani mein de gaya

Shiv Om Misra Anvar

TuTe hue khilaune nishani mein de gaya

Shiv Om Misra Anvar

MORE BYShiv Om Misra Anvar

    TuuTe hue khilaune nishānī meñ de gayā

    dhoka mujhe vo ain javānī meñ de gayā

    ye aur baat misrā-e-ūlā meñ kuchh nahīñ

    lekin vo husn misra-e-sānī meñ de gayā

    dariyā ne tishna-lab se siyāsat 'ajīb

    kuchh zahr bhī milā ke vo paanī meñ de gayā

    laayā hazār ḳhushiyāñ mujhe sauñpne magar

    phir kyoñ ye rañj resha-davānī meñ de gayā

    karnā paḌā na ham ko za.īfī intizār

    vo dard itne ham ko javānī meñ de gayā

    'anvar' haal aa ke koī dekh le zarā

    kāġhaz ke phuul koī nishānī meñ de gayā

    TuTe hue khilaune nishani mein de gaya

    dhoka mujhe wo ain jawani mein de gaya

    ye aur baat misra-e-ula mein kuchh nahin

    lekin wo husn misra-e-sani mein de gaya

    dariya ne tishna-lab se siyasat 'ajib ki

    kuchh zahr bhi mila ke wo pani mein de gaya

    laya hazar KHushiyan mujhe saunpne magar

    phir kyon ye ranj resha-dawani mein de gaya

    karna paDa na hum ko zaifi ka intizar

    wo dard itne hum ko jawani mein de gaya

    'anwar' ka haal aa ke koi dekh le zara

    kaghaz ke phul koi nishani mein de gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now