TuTi hui diwar ka saya to nahin hun

Mazhar Imam

TuTi hui diwar ka saya to nahin hun

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

  TuuTī huī dīvār saaya to nahīñ huuñ

  maiñ terā bhūlā huā va.ada to nahīñ huuñ

  guzrā thā dabe paañv jahāñ se shab-e-māh

  maiñ vo tirā bāġh-e-tamannā to nahīñ huuñ

  jis naqsh pe chalne qasam khātī hai duniyā

  maiñ vo tirā naqsh-e-kaf-e-pā to nahīñ huuñ

  auroñ se mirā naam ulajhtā hai to uljhe

  shikva tujhe kyuuñ ho ki maiñ terā to nahīñ huuñ

  kyuuñ ḳhud ko na chāhūñ ki tirā dil to nahīñ maiñ

  kyuuñ ḳhud ko bhulā duuñ ki zamāna to nahīñ huuñ

  merī zarūrat mirī aadat to nahīñ hai

  mahtāb-e-zamīñ meñ tirā haala to nahīñ huuñ

  bāġhoñ se uḌaa.ī huī ḳhushbū sahī

  maiñ nik.hat-e-be-bāk parda to nahīñ huuñ

  maiñ aks-e-gurezāñ to nahīñ apnī anā

  maiñ terā TuuTā huā rishta to nahīñ huuñ

  maiñ āḳhirī jaadū to nahīñ sāhir-e-shab

  sahmā huā maiñ sub.h taarā to nahīñ huuñ

  TuTi hui diwar ka saya to nahin hun

  main tera hi bhula hua wada to nahin hun

  guzra tha dabe panw jahan se tu shab-e-mah

  main hi wo tera bagh-e-tamanna to nahin hun

  jis naqsh pe chalne ki qasam khati hai duniya

  main hi wo tera naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hun

  auron se mera nam ulajhta hai to uljhe

  shikwa tujhe kyun ho ki main tera to nahin hun

  kyun KHud ko na chahun ki tera dil to nahin main

  kyun KHud ko bhula dun ki zamana to nahin hun

  tu meri zarurat meri aadat to nahin hai

  mahtab-e-zamin mein tera haala to nahin hun

  baghon se uDai hui KHushbu hi sahi tu

  main nikhat-e-be-bak ka parda to nahin hun

  main aks-e-gurezan to nahin apni ana ka

  main tera hi TuTa hua rishta to nahin hun

  main aaKHiri jadu to nahin sahir-e-shab ka

  sahma hua main subh ka tara to nahin hun

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque

  TuTi hui diwar ka saya to nahin hun Nomaan Shauque

  Source :
  • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 82)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY