Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTte rahna TuT ke phir murjhana bhi

Noor Ahmad Noor

TuTte rahna TuT ke phir murjhana bhi

Noor Ahmad Noor

MORE BYNoor Ahmad Noor

    TūTte rahnā TuuT ke phir murjhānā bhī

    jaise bichhaḌnā aur bichhaḌte jaanā bhī

    miTTī ho tum miTTī ban kar dikhlāo

    patthar honā patthar ho jaanā bhī

    pābandī Dar nafrat qaid na jaane kyā

    muḌ kar dekhā us ne aur pahchānā bhī

    mujh se tark-e-ta.alluq charchā karnā

    merī galī meñ chhup-chhup ānā-jānā bhī

    jhuuT sābit ho jaanā sach khul jaanā

    raat pe parda karnā din aanā bhī

    ulTī sīdhī bāteñ gaane mausīqī

    mobile ne chhīnā piinā khānā bhī

    titlī jaise uḌnā bal khānā ruknā

    alhaḌ-pan fitrat hai iThlānā bhī

    man-mānī shartoñ par haT-dharmī karnā

    duurī qaa.em rakhnā pyaar jatānā bhī

    din bhar tap kar sūraj ban jaa.e kundan

    Dūbte vaqt manzar ḳhuub suhānā bhī

    andhe kuñ.eñ ko jā-e-amāñ samjhe rahnā

    ḳhud dard uThānā shor machānā bhī

    soch samajh kar 'nūr' nahīñ kahtā phir bhī

    hosh bāteñ kartā hai dīvāna bhī

    TuTte rahna TuT ke phir murjhana bhi

    jaise bichhaDna aur bichhaDte jaana bhi

    miTTi ho tum miTTi ban kar dikhlao

    patthar hona patthar sa ho jaana bhi

    pabandi Dar nafrat qaid na jaane kya

    muD kar dekha us ne aur pahchana bhi

    mujh se tark-e-talluq ka charcha karna

    meri gali mein chhup-chhup aana-jaana bhi

    jhuT ka sabit ho jaana sach khul jaana

    raat pe parda karna din ka aana bhi

    ulTi sidhi baaten gane mausiqi

    mobile ne chhina pina khana bhi

    titli jaise uDna bal khana rukna

    alhaD-pan ki fitrat hai iThlana bhi

    man-mani sharton par haT-dharmi karna

    duri qaem rakhna pyar jatana bhi

    din bhar tap kar suraj ban jae kundan

    Dubte waqt ka manzar KHub suhana bhi

    andhe kunen ko ja-e-aman samjhe rahna

    KHud hi dard uThana shor machana bhi

    soch samajh kar 'nur' nahin kahta phir bhi

    hosh ki baaten karta hai diwana bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now