Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ubhar aaya ruKH par haya ka nagina

Kanwal Siyalkoti

ubhar aaya ruKH par haya ka nagina

Kanwal Siyalkoti

MORE BYKanwal Siyalkoti

    ubhar aayā ruḳh par hayā nagīna

    jabīñ par na dekhā thā aisā pasīna

    chalī aa rahī hai hasīnoñ Tolī

    zamīñ par hai qaus-e-quzah qarīna

    mire haath aa chalā thā kinārā

    lagā Dūbne mere dil safīna

    kasak soī rahtī hai barsoñ kabhī to

    jo jaage to jaage mahīna mahīna

    bhalā kaun jaane vo aa.eñ na aa.eñ

    mire paas rahne do jām-o-mīnā

    kabhī tum ne dekhī haiñ pur-ḳhār rāheñ

    jo kahte ho ulfat ko phūloñ ziina

    uḌā jo chorī se gāloñ chuTkī

    to bole 'kañval' bhī hai kitnā kamīna

    ubhar aaya ruKH par haya ka nagina

    jabin par na dekha tha aisa pasina

    chali aa rahi hai hasinon ki Toli

    zamin par hai qaus-e-quzah ka qarina

    mere hath aa hi chala tha kinara

    laga Dubne mere dil ka safina

    kasak soi rahti hai barson kabhi to

    jo jage to jage mahina mahina

    bhala kaun jaane wo aaen na aaen

    mere pas rahne hi do jam-o-mina

    kabhi tum ne dekhi hain pur-KHar rahen

    jo kahte ho ulfat ko phulon ka zina

    uDa li jo chori se galon ki chuTki

    to bole 'kanwal' bhi hai kitna kamina

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 280)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now