ubhar kar falak tak jo aae hue hain
ubhar kar falak tak jo aa.e hue haiñ
vo sadiyoñ ke gahre dabā.e hue haiñ
lihāfoñ kī socho alāvoñ kī chhoḌo
ki bādal fazāoñ pe chhā.e hue haiñ
haiñ kāġhaz pe mere ibārat ke dhabbe
tumhāre qalam ke lagā.e hue haiñ
kamāl-e-hunar hai qafas meñ haiñ lekin
qafas ko chaman ham banā.e hue haiñ
hai jaanā jo un ko bahut duur vāpas
yahāñ tak mire saath aa.e hue haiñ
ubhar kar falak tak jo aae hue hain
wo sadiyon ke gahre dabae hue hain
lihafon ki socho alawon ki chhoDo
ki baadal fazaon pe chhae hue hain
hain kaghaz pe mere ibarat ke dhabbe
tumhaare qalam ke lagae hue hain
kamal-e-hunar hai qafas mein hain lekin
qafas ko chaman hum banae hue hain
hai jaana jo un ko bahut dur wapas
yahan tak mere sath aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.