Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ubharte chand sitaron ka tazkira bhi karo

Aulad Ali Rizvi

ubharte chand sitaron ka tazkira bhi karo

Aulad Ali Rizvi

MORE BYAulad Ali Rizvi

    ubharte chāñd sitāroñ tazkira bhī karo

    ḳhizāñ ke saath bahāroñ tazkira bhī karo

    guloñ chhāñv meñ ārām karne vaalo kabhī

    hamārī raah ke ḳhāroñ tazkira bhī karo

    hamesha sail-o-talātum zikr karte ho

    sukūñ-ba-dosh kināroñ tazkira bhī karo

    rabāb-o-chañg ke naġhmoñ se gar mile fursat

    shikasta saaz ke tāroñ tazkira bhī karo

    ḳhizāñ god meñ āñkhoñ ko kholne vaalo

    nazar-navāz bahāroñ tazkira bhī karo

    hasīn chāñdnī rātoñ se khelne vaalo

    sahar ke Dūbte tāroñ tazkira bhī karo

    hamesha zikr-e-shab-e-tār kis liye 'sāqī'

    kabhī sahar ke nazāroñ tazkira bhī karo

    ubharte chand sitaron ka tazkira bhi karo

    KHizan ke sath bahaaron ka tazkira bhi karo

    gulon ki chhanw mein aaram karne walo kabhi

    hamari rah ke KHaron ka tazkira bhi karo

    hamesha sail-o-talatum ka zikr karte ho

    sukun-ba-dosh kinaron ka tazkira bhi karo

    rabab-o-chang ke naghmon se gar mile fursat

    shikasta saz ke taron ka tazkira bhi karo

    KHizan ki god mein aankhon ko kholne walo

    nazar-nawaz bahaaron ka tazkira bhi karo

    hasin chandni raaton se khelne walo

    sahar ke Dubte taron ka tazkira bhi karo

    hamesha zikr-e-shab-e-tar kis liye 'saqi'

    kabhi sahar ke nazaron ka tazkira bhi karo

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 20)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now