Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya

Altamash Abbas

uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya

Altamash Abbas

MORE BYAltamash Abbas

    uḌ ga.ī chehre rangat zard chehra ho gayā

    kis liye kuchh din se gum-sum ho tumheñ kyā ho gayā

    TuuT kar bikhre dhanak ke rang āñkhoñ meñ mirī

    us ne jab añgḌā.ī mausam suhānā ho gayā

    mohtaram thā ishq jab tak ḳhānqāhoñ meñ rahā

    bārgāh-e-husn meñ aaya to rusvā ho gayā

    sho.abada-bāzī ziyāda der tak chaltī nahīñ

    jo tamāsha karne aaya ḳhud tamāshā ho gayā

    istaqāmat ne liyā jis chaTānoñ se ḳhirāj

    TuuT kar is tarah bikhrā reza-reza ho gayā

    chaḌh ke aaya thā baḌī shiddat se dariyā-e-havas

    jab merī tauba se Takrāyā to sahrā ho gayā

    phuul chehra bas ik shab ḳhvāb meñ aaya mire

    aur phir merā mirī nīñdoñ se jhagḌā ho gayā

    ek sajda yuuñ adā ho ai mire parvardigār

    kahe uTh mire bande ki sajda ho gayā

    rāt-bhar ik dūsre se guftugū 'altamash'

    aur phir bātoñ bātoñ meñ saverā ho gayā

    uD gai chehre ki rangat zard chehra ho gaya

    kis liye kuchh din se gum-sum ho tumhein kya ho gaya

    TuT kar bikhre dhanak ke rang aankhon mein meri

    us ne jab angDai li mausam suhana ho gaya

    mohtaram tha ishq jab tak KHanqahon mein raha

    bargah-e-husn mein aaya to ruswa ho gaya

    shoabada-bazi ziyaada der tak chalti nahin

    jo tamasha karne aaya KHud tamasha ho gaya

    istaqamat ne liya jis ki chaTanon se KHiraj

    TuT kar is tarah bikhra reza-reza ho gaya

    chaDh ke aaya tha baDi shiddat se dariya-e-hawas

    jab meri tauba se Takraya to sahra ho gaya

    phul sa chehra bas ek shab KHwab mein aaya mere

    aur phir mera meri nindon se jhagDa ho gaya

    ek sajda yun ada ho ai mere parwardigar

    tu kahe uTh ja mere bande ki sajda ho gaya

    raat-bhar ek dusre se guftugu ki 'altamash'

    aur phir baaton hi baaton mein sawera ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now