aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko

Saail Dehlvi

uDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko

Saail Dehlvi

MORE BYSaail Dehlvi

    uḌā saktā nahīñ koī mire andāz-e-shevan ko

    ba-mushkil kuchh sikhāyā hai navā-sanjān-e-gulshan ko

    garebāñ chaak karne sabab vahshī ne farmāyā

    ki us ke taar le kar maiñ siyūñgā chāk-e-dāman ko

    bahār aate baTtī haiñ ye chīzeñ qaid-ḳhānoñ meñ

    salāsil haath ko paañv ko beḌī tauq gardan ko

    jhaḌī aisī lagā hai mire ashkoñ bārish ne

    dabā rakkhā hai bhādoñ ko bhulā rakkhā hai sāvan ko

    dil-e-marhūm mayyat ijāzat do to rakh deñ ham

    tire talve-barābar zamīñ kaafī hai madfan ko

    ijāzat do to saarī anjuman ke dil hilā duuñ maiñ

    samajh rakkhā hai tum ne hech tāsīrāt-e-shevan ko

    sulūk-e-pīr-e-mai-ḳhāna ai saaqī talāfī kyā

    ba-juz is ke duā.eñ do use phailā ke dāman ko

    uDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko

    ba-mushkil kuchh sikhaya hai nawa-sanjaan-e-gulshan ko

    gareban chaak karne ka sabab wahshi ne farmaya

    ki us ke tar le kar main siyunga chaak-e-daman ko

    bahaar aate hi baTti hain ye chizen qaid-KHanon mein

    salasil hath ko panw ko beDi tauq gardan ko

    jhaDi aisi laga di hai mere ashkon ki barish ne

    daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai sawan ko

    dil-e-marhum ki mayyat ijazat do to rakh den hum

    tere talwe-barabar hi zamin kafi hai madfan ko

    ijazat do to sari anjuman ke dil hila dun main

    samajh rakkha hai tum ne hech tasiraat-e-shewan ko

    suluk-e-pir-e-mai-KHana ki ai saqi talafi kya

    ba-juz is ke duaen do use phaila ke daman ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now