Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas aankhen ghazal aankhen

Asra Rizvi

udas aankhen ghazal aankhen

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    udaas āñkheñ ġhazāl āñkheñ

    javāb āñkheñ savāl āñkheñ

    hazār rātoñ bojh uThiye

    vo bhīgī palkeñ vo laal āñkheñ

    vo sub.h vaqt niiñd kachchī

    ḳhumār se be-misāl āñkheñ

    bas ik jhalak ko taḌap rahī haiñ

    rahīn-e-shauq-e-visāl āñkheñ

    jhukī jhukī muñdī muñdī

    amīn-e-nāz-e-jamāl āñkheñ

    vo hijr ke mausamoñ se uljhī

    thakī thakī niDhāl āñkheñ

    na jaane kyuuñ khoī khoī haiñ

    bujhī bujhī pur-ḳhayāl āñkheñ

    haiñ shoḳhiyoñ se chhalakne vaalī

    mohabbatoñ se nihāl āñkheñ

    agar nigāhoñ se mil ga.iiñ to

    kareñgī jiinā muhāl āñkheñ

    chhupe hue haiñ hazār jazbe

    balā haiñ ye kamāl āñkheñ

    udas aankhen ghazal aankhen

    jawab aankhen sawal aankhen

    hazar raaton ka bojh uThiye

    wo bhigi palken wo lal aankhen

    wo subh ka waqt nind kachchi

    KHumar se be-misal aankhen

    bas ek jhalak ko taDap rahi hain

    rahin-e-shauq-e-visal aankhen

    jhuki jhuki si mundi mundi si

    amin-e-naz-e-jamal aankhen

    wo hijr ke mausamon se uljhi

    thaki thaki si niDhaal aankhen

    na jaane kyun khoi khoi si hain

    bujhi bujhi pur-KHayal aankhen

    hain shoKHiyon se chhalakne wali

    mohabbaton se nihaal aankhen

    agar nigahon se mil gain to

    karengi jina muhaal aankhen

    chhupe hue hain hazar jazbe

    bala ki hain ye kamal aankhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now