Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udas ek roz kar gaya main to kya karoge

Sana Gorakhpuri

udas ek roz kar gaya main to kya karoge

Sana Gorakhpuri

MORE BYSana Gorakhpuri

    udaas ik roz kar gayā maiñ to kyā karoge

    tumhārā shā.ir huuñ mar gayā maiñ to kyā karoge

    hazār hāthoñ se maiñ sameTe hue huuñ tum ko

    agar kahīñ ḳhud bikhar gayā maiñ to kyā karoge

    mire qadam se qadam milā kar to chal rahe ho

    jo tum se aage guzar gayā maiñ to kyā karoge

    kise pukāroge aur kis ko sadā.eñ doge

    sukūt-e-jāñ meñ utar gayā meñ to kyā karoge

    jo dard kā.enāt meñ hai vo dard ban kar

    tumhāre dil meñ utar gayā maiñ to kyā karoge

    tumhārī zulfoñ se khelte khelte kisī roz

    havā se aage guzar gayā maiñ to kyā karoge

    jo ham ne khaa.ī thiiñ jiine marne saath qasmeñ

    agar vo ḳhud toḌ kar gayā maiñ to karoge

    udas ek roz kar gaya main to kya karoge

    tumhaara shair hun mar gaya main to kya karoge

    hazar hathon se main sameTe hue hun tum ko

    agar kahin KHud bikhar gaya main to kya karoge

    mere qadam se qadam mila kar to chal rahe ho

    jo tum se aage guzar gaya main to kya karoge

    kise pukaroge aur kis ko sadaen doge

    sukut-e-jaan mein utar gaya mein to kya karoge

    jo dard sa kaenat mein hai wo dard ban kar

    tumhaare dil mein utar gaya main to kya karoge

    tumhaari zulfon se khelte khelte kisi roz

    hawa se aage guzar gaya main to kya karoge

    jo hum ne khai thin jine marne ki sath qasmen

    agar wo KHud toD kar gaya main to karoge

    Source:

    Awaz (Pg. 27)

    • Author: Sana Gorakhpuri
      • Publisher: Apsara Bano
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now