Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasi ek asiri hai udasi se ghira hun main

Adnan Hamid

udasi ek asiri hai udasi se ghira hun main

Adnan Hamid

MORE BYAdnan Hamid

    udāsī ik asīrī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    udāsī udāsī hai udāsī se ghirā huuñ meñ

    udāsī aur udāsī aur udāsī aur udāsī bas

    udāsī mujh pe haavī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    yaqīñ terā thā bas mujh ko ḳhudārā kyoñ karūñ maiñ ab

    tirī hastī ḳhayālī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    bhaTaktā dar-ba-dar rahtā huuñ maiñ vahshat ke saa.e meñ

    mirī murda javānī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    parastish kar rahā huuñ āj-kal maiñ bas udāsī

    udāsī jāvedānī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    halāk-e-ishq huuñ yāroñ mujhe maarā mohabbat ne

    mirī ġhamgīñ kahānī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    ta.alluq hai siyāsat yahāñ har baat se 'hāmid'

    udāsī bhī siyāsī hai udāsī se ghirā huuñ maiñ

    udasi ek asiri hai udasi se ghira hun main

    udasi hi udasi hai udasi se ghira hun mein

    udasi aur udasi aur udasi aur udasi bas

    udasi mujh pe hawi hai udasi se ghira hun main

    yaqin tera tha bas mujh ko KHudara kyon karun main ab

    teri hasti KHayali hai udasi se ghira hun main

    bhaTakta dar-ba-dar rahta hun main wahshat ke sae mein

    meri murda jawani hai udasi se ghira hun main

    parastish kar raha hun aaj-kal main bas udasi ki

    udasi jawedani hai udasi se ghira hun main

    halak-e-ishq hun yaron mujhe mara mohabbat ne

    meri ghamgin kahani hai udasi se ghira hun main

    talluq hai siyasat ka yahan har baat se 'hamid'

    udasi bhi siyasi hai udasi se ghira hun main

    Source:

    Word File Mail By Vijay sharma

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now