udasi ke chehre paDha mat karo
udāsī ke chehre paḌhā mat karo
ġhazal āñsuoñ se likhā mat karo
bahar-hāl ye aag hī aag haiñ
charāġhoñ ko aise chhuā mat karo
du'ā āñsuoñ meñ khilā phuul hai
kisī ke liye bad-du'ā mat karo
tumheñ log kahne lageñ bevafā
zamāne se itnī vafā mat karo
agar vāqa'ī tum pareshān ho
kisī aur se tazkira mat karo
ḳhudā ke liye chāñdnī raat meñ
akele akele phirā mat karo
udasi ke chehre paDha mat karo
ghazal aansuon se likha mat karo
bahar-haal ye aag hi aag hain
charaghon ko aise chhua mat karo
du'a aansuon mein khila phul hai
kisi ke liye bad-du'a mat karo
tumhein log kahne lagen bewafa
zamane se itni wafa mat karo
agar waqa'i tum pareshan ho
kisi aur se tazkira mat karo
KHuda ke liye chandni raat mein
akele akele phira mat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.