udasi ne kabhi tanha mujhe chhoDa nahin hai
udāsī ne kabhī tanhā mujhe chhoḌā nahīñ hai
isī baa.is ḳhushī se aaj tak rishta nahīñ hai
mirā ik dost apnā hai faqat itnā samajh lo
sivā is ke koī dil ke qarīb apnā nahīñ hai
mirā chehra tabassum se Dhakā dekhā sabhī ne
sitāra-sāz palkoñ tak koī pahuñchā nahīñ hai
junūñ hai shart manzil ishq kī gar chāhte ho
koī fahm-o-farāsat se yahāñ pahuñchā nahīñ hai
udasi ne kabhi tanha mujhe chhoDa nahin hai
isi bais KHushi se aaj tak rishta nahin hai
mera ek dost apna hai faqat itna samajh lo
siwa is ke koi dil ke qarib apna nahin hai
mera chehra tabassum se Dhaka dekha sabhi ne
sitara-saz palkon tak koi pahuncha nahin hai
junun hai shart manzil ishq ki gar chahte ho
koi fahm-o-farasat se yahan pahuncha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.