udasi se meri taswir kya raushan banegi
udāsī se mirī tasvīr kyā raushan banegī
ḳhushī se zahr piitī dair meñ birhan banegī
maiñ us ke paañv aur paa.el kā ḳhāka khīñch lūñgā
magar is canvas par kaise chhan-chhan chhan banegī
ġham-e-muflis ko kāġhaz par utāregā musavvir
to kāġhaz par vidā.a hotī huī dul.han banegī
kisī ke paañv ko chhūne kī ḳhātir muddatoñ tak
kise ma.alūm thā patthar kī ik jogan banegī
raqīboñ ko mire hisse kā saarā ġham milegā
tumhārī zulf ke har ḳham se ik uljhan banegī
udasi se meri taswir kya raushan banegi
KHushi se zahr piti dair mein birhan banegi
main us ke panw aur pael ka KHaka khinch lunga
magar is canwas par kaise chhan-chhan chhan banegi
gham-e-muflis ko kaghaz par utarega musawwir
to kaghaz par widaa hoti hui dulhan banegi
kisi ke panw ko chhune ki KHatir muddaton tak
kise malum tha patthar ki ek jogan banegi
raqibon ko mere hisse ka sara gham milega
tumhaari zulf ke har KHam se ek uljhan banegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.