Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai

Aah Sambhali

udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai

Aah Sambhali

MORE BYAah Sambhali

    udāsiyoñ musalsal ye daur chalnā hai

    na koī hādsa honā na bahalnā hai

    vo aur hoñge milā jin ko raushnī safar

    hameñ to bujhte charāġhoñ ke saath chalnā hai

    ye Dhaltī umr ke raste bahut thakā deñge

    qadam qadam pe nayā rāsta nikalnā hai

    vidā.a ho ga.ī kah kar ye ḳhushbuoñ sadā

    gulāb-jismoñ ko ab pattharoñ meñ Dhalnā hai

    kisī lahreñ manā.eñgī jashn-e-ġharqābī

    phir aaj raat samundar bahut uchhalnā hai

    mirī shikast meñ muzmar hai terī kotāhī

    tujhe bhī merī tarah kal ko haath malnā hai

    udasiyon ka musalsal ye daur chalna hai

    na koi hadsa hona na ji bahalna hai

    wo aur honge mila jin ko raushni ka safar

    hamein to bujhte charaghon ke sath chalna hai

    ye Dhalti umr ke raste bahut thaka denge

    qadam qadam pe naya rasta nikalna hai

    widaa ho gai kah kar ye KHushbuon ki sada

    gulab-jismon ko ab pattharon mein Dhalna hai

    kisi ka lahren manaengi jashn-e-gharqabi

    phir aaj raat samundar bahut uchhalna hai

    meri shikast mein muzmar hai teri kotahi

    tujhe bhi meri tarah kal ko hath malna hai

    Source:

    Bheege Mausamon Ki Mahak (Pg. 135)

    • Author: Aah Sambhali
      • Publisher: Aah Sambhali
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now