Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udhar abr le chashm-e-nam ko chala

Shah Naseer

udhar abr le chashm-e-nam ko chala

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    udhar abr le chashm-e-nam ko chalā

    idhar sāqiyā! maiñ bhī yam ko chalā

    mubārak ho ka.aba tumheñ shaiḳh-jī!

    ye banda to bait-us-sanam ko chalā

    sar-e-rah-guzar aah ai be-nishāñ

    kidhar chhoḌ naqsh-e-qadam ko chalā

    javāhar TukḌā hai ye laḳht-e-dil

    ai ashk le is raqam ko chalā

    tirā mā.il-e-husn ai sarv-qad

    sunā hai ki mulk-e-adam ko chalā

    hubāb-e-lab-e-jū mānind aah

    ḳhabar jald le koī dam ko chalā

    tire ishq meñ saath apne 'nasīr'

    liye hasrat-o-dard-o-ġham ko chalā

    udhar abr le chashm-e-nam ko chala

    idhar saqiya! main bhi yam ko chala

    mubarak ho kaba tumhein shaiKH-ji!

    ye banda to bait-us-sanam ko chala

    sar-e-rah-guzar aah ai be-nishan

    kidhar chhoD naqsh-e-qadam ko chala

    jawahar ka TukDa hai ye laKHt-e-dil

    tu ai ashk le is raqam ko chala

    tera mail-e-husn ai sarw-qad

    suna hai ki mulk-e-adam ko chala

    hubab-e-lab-e-ju ki manind aah

    KHabar jald le koi dam ko chala

    tere ishq mein sath apne 'nasir'

    liye hasrat-o-dard-o-gham ko chala

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir (part-1) (Pg. 339)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1971
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now