udhar dekho wo tanha aa raha hai
udhar dekho vo tanhā aa rahā hai
idhar tum ko pasīna aa rahā hai
mire shero rakho talvār nīche
vo dekho vo nihattā aa rahā hai
vo jis ne chhīn kar maarā thā kaasa
vahī le kar ke kaasa aa rahā hai
mujhī se kī hai us laḌkī ne shādī
mujhe kaisā ye sapnā aa rahā hai
jo ik ġhaltī huī hai bas usī pe
hameñ har roz ronā aa rahā hai
to ab chaltā huuñ maiñ bahr-e-fanā meñ
mirī jānib farishta aa rahā hai
udhar dekho wo tanha aa raha hai
idhar tum ko pasina aa raha hai
mere shero rakho talwar niche
wo dekho wo nihatta aa raha hai
wo jis ne chhin kar mara tha kasa
wahi le kar ke kasa aa raha hai
mujhi se ki hai us laDki ne shadi
mujhe kaisa ye sapna aa raha hai
jo ek ghalti hui hai bas usi pe
hamein har roz rona aa raha hai
to ab chalta hun main bahr-e-fana mein
meri jaanib farishta aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.