Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr

Arsalan Rathor

ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr

Arsalan Rathor

MORE BYArsalan Rathor

    ujlī fasīl meñ rahī siine lahr lahr

    sātoñ jaloñ ko ke bhī TuuTī na ġham nahr

    kundan haveliyoñ ko ḳhalāoñ ne aa liyā

    tāroñ aañkh ro ga.e be-nūriyoñ ke shahr

    chhe samt ġhubār thā bastī meñ dhuup

    Tīloñ pe raaj thā zardī ke aaTh pahar

    ḳhvāboñ ke hauz the ki tilismāt chāñd ke

    afsūñ-garoñ aañkh meñ Duube hue the bahr

    phirtī phire hai paañv zanjīr le ke saath

    ji’be meñ reze nuur ke zambīl meñ sipahr

    ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr

    saton jalon ko pi ke bhi TuTi na gham ki nahr

    kundan haweliyon ko KHalaon ne aa liya

    taron ki aankh ro gae be-nuriyon ke shahr

    chhe samt ka ghubar tha basti mein dhup ki

    Tilon pe hu ka raj tha zardi ke aaTh pahar

    KHwabon ke hauz the ki tilismat chand ke

    afsun-garon ki aankh mein Dube hue the bahr

    phirti phire hai panw ki zanjir le ke sath

    ji’be mein reze nur ke zambil mein sipahr

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now