Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulaT gaya hai har ek silsila nishane par

Irfan Siddiqi

ulaT gaya hai har ek silsila nishane par

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    ulaT gayā hai har ik silsila nishāne par

    charāġh ghaat meñ haiñ aur havā nishāne par

    ġhazal meñ us ko sitam-gar kahā to ruuTh gayā

    chalo ye harf-e-malāmat lagā nishāne par

    maiñ apne siine se sharminda hone vaalā thā

    ki aa lagā koī tīr-e-jafā nishāne par

    ḳhudā se āḳhirī rishta bhī kaT na jaa.e kahīñ

    ki ab ke hai mirā dast-e-duā nishāne par

    vo sho.ala apnī tezī meñ jal bujhā varna

    rakhā thā ḳhema-e-sabr-o-razā nishāne par

    maiñ intizār meñ huñ kaun use shikār kare

    bahut dinoñ se hai merī navā nishāne par

    ulaT gaya hai har ek silsila nishane par

    charagh ghat mein hain aur hawa nishane par

    ghazal mein us ko sitam-gar kaha to ruTh gaya

    chalo ye harf-e-malamat laga nishane par

    main apne sine se sharminda hone wala tha

    ki aa laga koi tir-e-jafa nishane par

    KHuda se aaKHiri rishta bhi kaT na jae kahin

    ki ab ke hai mera dast-e-dua nishane par

    wo shoala apni hi tezi mein jal bujha warna

    rakha tha KHema-e-sabr-o-raza nishane par

    main intizar mein hun kaun use shikar kare

    bahut dinon se hai meri nawa nishane par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now