Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat-e-shirin ko bhaari sil samajh

Kishan Kumaar Waqaar

ulfat-e-shirin ko bhaari sil samajh

Kishan Kumaar Waqaar

MORE BYKishan Kumaar Waqaar

    ulfat-e-shīrīñ ko bhārī sil samajh

    sahl ko ai kohkan mushkil samajh

    gard-bād-e-dasht ai majnūñ na ho

    til ko laila chashm ko mahmil samajh

    jaan nabz-e-rāh dasht-e-nīstī

    teġh-e-abrū mujhe bismil samajh

    dil ko baitullāh kahtā hai jahāñ

    is ko ai but manzilat manzil samajh

    hai jo shab-bedār terī yaad meñ

    us farāmush-kār ko ġhāfil samajh

    ḳhūn-e-dil hai surḳh-rūī nishāñ

    mujh ko bismil apnā ai qātil samajh

    vo nigāh-e-garm hai barq ai 'vaqār'

    ḳhirman-e-hastī ko be-hāsil samajh

    ulfat-e-shirin ko bhaari sil samajh

    sahl ko ai kohkan mushkil samajh

    gard-baad-e-dasht ai majnun na ho

    til ko laila chashm ko mahmil samajh

    jaan nabz-e-rah dasht-e-nisti

    tegh-e-abru ka mujhe bismil samajh

    dil ko baitullah kahta hai jahan

    is ko ai but manzilat manzil samajh

    hai jo shab-bedar teri yaad mein

    us faramush-kar ko ghafil samajh

    KHun-e-dil hai surKH-rui ka nishan

    mujh ko bismil apna ai qatil samajh

    wo nigah-e-garm hai barq ai 'waqar'

    KHirman-e-hasti ko be-hasil samajh

    Source:

    Deewan-e-Waqaar (Pg. 157)

    • Author: Kishan Kumaar Waqaar
      • Edition: 1899
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1899
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now