Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya

Ata Lucknowi

ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya

Ata Lucknowi

MORE BYAta Lucknowi

    ulfat jurm karte dīvāna ho gayā

    aivān-e-ishq mere liye thāna ho gayā

    āvāgaman hai ki tilism-e-nigāh-e-husn

    insān thā sag-e-dar-e-jānāna ho gayā

    kuchh saḳht-jāñ ke qatl sadma nahīñ unheñ

    us hai nigah teġh meñ dandāna ho gayā

    laale aag phūloñ āñkheñ chaḌhī huiiñ

    sehn-e-chaman jo thā vo madak-ḳhāna ho gayā

    insāf kyā kiyā hai adālat ne husn

    aish-o-nishāt-e-umr jurmāna ho gayā

    piirī ke bhī karishme nirāle jahāñ meñ haiñ

    qandhār anaar thā be-dāna ho gayā

    ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya

    aiwan-e-ishq mere liye thana ho gaya

    aawagaman hai ya ki tilism-e-nigah-e-husn

    insan tha sag-e-dar-e-jaanana ho gaya

    kuchh saKHt-jaan ke qatl ka sadma nahin unhen

    us ki hai nigah tegh mein dandana ho gaya

    lale ki aag phulon ki aankhen chaDhi huin

    sehn-e-chaman jo tha wo madak-KHana ho gaya

    insaf kya kiya hai adalat ne husn ki

    aish-o-nishat-e-umr ka jurmana ho gaya

    piri ke bhi karishme nirale jahan mein hain

    qandhaar ka anar tha be-dana ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now